Urdu Poetry. Stories And Novels

Archive for February 2009

Yadoon ka jhoonka aya Hum se milnay barsoon baad
Pehlay itna roye nahi thay, jitna roye barsoon bad

Lamha lamha ghar ujra hai, mushkil se ihsas huwa
Pather aye barsoon pehlay, sheeshay tootay barsoon bad

Aaj hamary khak pe duniya ronay dhonay bethy hai
Phool hoye hain itnay sastay janne kitnay barsoon bad

bhool bhi jaoo, kis ne torda, kaisay torda aur kion ker torda
Dhoond rahay ho ghalioon main kiya,Dil ke tukray barsoon bad

Dastak ki umeed laga ker kab tuk yoon hi Aas main jeetay
Kal ka Wada kernay wala, Milnay aya barsoon bad

Judai ki Kasuk liye
Tery yaad ka ansoo
Her shab ki ankh se tapka hai
Ghuzray kal ki tarah
Aaj ka din bhi
Tum Bin
Udass Ghuzra hai….!!!

Millan ki arzoo kerna Sufer ki justajoo kerna
Jo tum mayoos ho jaoo To mujh se guftagu kerna
Yeah akser ho bhi jata hai ke koi kho bhi jata hai
Muqader ko satoo gay
To phir yeah so bhi jata hai
Ager tum hosla rakho
Wafa ka silsala rakho
Jo tum se payar ker bethay to us se rabta rakho
Main yeah daway se kehta hoon
Kabhi nakaam na hoon gay
Muhabbat ko Samjh jaoo
Kabhi badnaam na ho gay!!

Hawa Ko Likhna Jo Aa gaya hai
Ab uski marzi ke wo hizan ko bahar likh de
Bahar ko intazar likh de
Sufer ki khuwahish ko
Wehmoon ke Azab se Humkinar ker de
Wafa ke rastoon pe chalne waloon ki kismatoon main
Ghubar Likh de
Hawa Ko Likhna Jo Aa gaya hai
Hawa ki marzi
Ke Wisel mousam main hijer ko hissa dar likh de
Muhabbtoon main ghuzrnay wali ratoon ko
Na Paidaar Likh de
Hawa Ko likhna jo Aa gaya hai
ab uski marzi
Ke hamaray diye bhuja ker
Shaboon ko baikhtiyar likh de
Hawa ko likhna sikhanay waloo!!!
“Hawa ko likhna jo Aa gaya hai”

Mairy Rooh Mairay Jisaam Se
Jub Perwaaz Ker Jaye
To Lout Aana
Mairy Be Khoof Ratoon Ke
Azaboon Ke Azaboon Per
Mairay Be Noor Hontoon Ki Duaoon Per
Tum Apni Sard Peshaani Per
Pather Rukh Ker
Ro Daina
Bas Itni Si Baat Keh Daina Ke
Mujay Tum se Muhabbat Hai


Recent Comments

waseem on Kiya Tum Bhool Pao Gay
Sam on Kiya Tum Bhool Pao Gay
muhammadfj on Kiya Tum Bhool Pao Gay